BAARISH Lyrics - Mahira Sharma & Paras Chhabra | Sonu Kakkar

BAARISH - Mahira Sharma & Paras Chhabra | Sonu Kakkar 

Anshul Garg presents Baarish By Sonu Kakkar & Nikhil D’Souza ft. Mahira Sharma & Paras Chhabra .






LYRICS-



Dil yeh kaanch ka hai
Dil yeh kaanch ka hai

Par iske tootne ki aawaz na kisi ne kabhi suni hai
Jitna bhi sambhaalo yeh dil nahi hai sambhlta

Dard kaise dekhoge tum mere dil ka
Dard kaise dekhoge tum mere dil ka
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta

Teri meri kahaani ke qisse bade hain
Toouta hai dil bikhre huve hisse pade hain

Aaja tu aaja‌ hai dil yeh pukaare
Pagal sa dil hai yeh, kaun sambhale
Kyun ho gaye tum mujhse judaa?

Pyaar saccha har kisi ko kyun nahi milta
Pyaar saccha har kisi ko kyun nahi milta
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta

Dil ke dardon ki dawaa hoti nahi hai
Aankhein meri bhi bin tere soti nahi hai

Mohobbat junoon hai khatam ho na paaye
Mit na sakegi chaahe hum mill na paaye
Adhoori rahi main‌‌, adhoora tu raha

Kya wajah hai jo tu mujhse ab nahi milta
Kya wajah hai jo tu mujhse ab nahi milta
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta
Baarish mein aansuon ka pata nahi chalta

Previous
Next Post »